Sahara chahiye Sarkar zindagi ke liye naat
Sahara chahiye Sarkar zindagi ke liye
Tarap raha hoon Madinay ki hazri ke liye
Taiba ke janay walay ja kar barey adab se
Mera bhi qissa e gham kehna shah e Arab se
Kehna ke shah e Aalam ik ranj o gham ka maara
Dono jahan main jiska hain aap hi sahara
Halaat e pur alam se is dam guzar raha hai
Aur kanpte labo(n) se faryaad kar raha hai
Baar e gunah apna hai dosh par uthaye
Koi nahi hai aisa jo puchne ko aaye
Bhula hua musafir manzil ko dhondta hai
Tareekiyo(n) main maah e kamil ko dhondta hai
Seenay main hai andhera dil hai siyah khaana
Yeh hai meri kahani Sarkar ko sunana
Kehna mere Nabi se mehroom hoon khushi se
Sar par ik abr e gham hai ashko(n) se aankh nam hai
Pamaal e zindagi hoon
Sarkar ummati hoon
Ummat ke rehnuma ho
Kuch arz e haal sun lo
Faryad kar raha hoon main dil figaar kab se
Mera bhi qissa e gham kehna shah e Arab se
Huzoor aisa koi intizaam hojaye
Salam ke liye haazir ghulam hojaye
Sahara chahiye Sarkar zindagi ke liye
Tarap raha hoon Madinay ki hazri ke liye
Comments
Post a Comment