4 Din Qurbani Karne Wale ЁЯМ╣ ЁЯМ╣ Bukhari Ki is Hadith aur kuch ЁЯМ╣ ЁЯМ╣ Suwalaat Ke Jawab De-n
Hazrate Salma bin Akwa ╪▒╪╢█М ╪з┘Д┘Д█Б ╪╣┘Ж█Б Bayan farmate hain ki,
Rasoole Akram я╖║ ne farmaya ki,
Tum me se jo shaksh Qurbaani kare
To teesre din ke baad (chothe din) woh is halat me subah kare
Ki us ke ghar me Qurbani ke gosht me se kuchh Baki Na rahe,
(zarurat ke mutabiq khud bana kar khae, khilae, baki taqseem karke khatm kar de)
Dusre saal sahaaba ╪▒╪╢█М ╪з┘Д┘Д█Б ╪╣┘Ж█Б┘Е ne arz kiya,
Ae Allah ke Rasool я╖║ !
Kya Ham is saal bhi waisa hi Kare-n jaisa pichhle saal kiya tha?
(ki 3 din se zada qurbani ka gosht na rakhe-n)
to Rasoole Akram я╖║ ne farmaya ki,
Ab Khao, khilao aur jama karo,
Pichhle saal log tangi ki Halat me the
is liye main ne chaha ki
Tum logon ki mushkilaat me unki madad karo.
(Yani Jo qurbani nahi kar sake Hain unhen do, taaki woh bhi khayen,
Magar is saal waisi baat nahi hai to ab 3 din se zada ghost rakh sakte ho...)
(Bukhari : Kitabul-Adaahi. Hadith No : 5569)
_____________
Rasoole Akram я╖║ Ka yeh farmana ki jo shakhs qurbani kare to woh chothe din is hal me subah kare
Ki qurbani ke gosht me se kuch bhi uske ghar me na bache,
Is farman se kya pata chalta hai ke ----?
Koi bohot bada pagal hi hoga jo is Hadith ko padhne ke bad bhi (4) din Qurbani ki ratt lagaye ga,
Yeh Hadtih is bat ki waazeh aur sareeh , khuli daleel hai ki
Qurbani Rasoole я╖║ Akram . Aur Sahaba ╪▒╪╢█М ╪з┘Д┘Д█Б ╪╣┘Ж█Б┘Е se 3 hi din sabit hai,
Agar 4 din Qurbani hoti to Rasoole-Akram я╖║ farmate ki 4 din bad yani panchwe din (5th day)
tumhare gharo'n me Qurbani ka gosht nhi bachna chahiye...
Baad me Rasoole Akram я╖║ Ne 3 din ke bad bhi Qurbani ke gosht ko rakhne ki ijazat de di
magar sirf gosht rakhne ki ijazat di, na ki 3 din ke bad qurbani karne ki ijazat di
Agar koi yeh kahe ki
Rasoole Akram я╖║ ne
3 din ke bad gosht khane ki ijazat di hai
is se maloom hua ki 4 din qurbani kar sakte hain ---
To is ke jawabat mulahiza kare:
Janab!
Rasoole Akram я╖║ ne sirf 4 hi din gosht khane aur rakhne ki ijazat nhi di
balki aap jab tak rakh kar kha sakte hai khaye-n
To ab aap jab tak gosht rakh kar khana chahe tab tak q
Qurbani karte rahe-n,
Bohot se log Muharram ke mahine tak Qurbani khate rehte hain
Aur phir har Qurbani me se kuch na kuch gosht rakhte jaye-n aur sal bhar Qurbani karte jaye-n,
Agar kisi ne 10 zil-hijja yani pehli ko Qurbani ki
Aur us ne poora gosht taqseem kar diya
ya badi family thi khud hi bana kar kha dala
ab us ke ghar me gosht ki eak boti nahi bachi
To kya aisa shakhs dusri ,tisri , aur wahabiyo-n ke mutabiq chothi (4th day) ko Qurbani kar sakta hai?
Bilkul nahi...Kiyu-n ki,
Wahabi mazhab ke mutabiq aisa shakhs ab qurbani nahi kar sakta
Is liy ke wahabiyo-n ke nazdeek qurbani usi waqt tak kar sakte hain
jab tak qurbani ka gosht ka hate rahe-n
Aur is bechaare ka to gosht hi khatam ho gaya
is liye wahabi mazhab ke mutabiq yeh banda pehle kahee-n se Qurbani ke gosht ka intizam kare
phir dusri aur tisri ko Qurbani kare,
Lekin kisi dusre bande se agar qurbani ka gosht mange to phir aur badi musibat
Kiyu-n ki wahabiyo-n ke yahan Allah ╪╣╪▓┘И╪м┘Д ke ilawa kisi se mangna shirk hai
is liye theek yahi hai ki
Pehle din apna goshat khatam karne wala ab Qurbani na kare---
To ye raha wahabiyo-n wala gosht parast mazhab..
Allah ╪╣╪▓┘И╪м┘Д bholi bhatki
aur wahabiyat ke jaal me phansi hui awaam ko Hidayat ata farmaye---Ameen......Zulfi Subhani..)
ЁЯМ╕ЁЯНГЁЯМ╕ЁЯНГЁЯМ╕ЁЯНГЁЯМ╕ЁЯНГЁЯМ╕ЁЯНГЁЯМ╕
✍................ Zulfi Subhani.
☎................. 8080603074.
Comments
Post a Comment