Khwaja Garib Nawaz ki zindagi ke baare me mukhtasar malumaat
Khwaja Garib Nawaz ki zindagi ke baare me mukhtasar
malumat
ЁЯФ╗Khwaja Moinuddin Chishti rehmatullahi alayhi khorasan me
14 rajjab ko paida huwe.
ЁЯФ╗Aap Hussaini Sayed hai. Aap ke
walid mohatram Hazrat Ghayasuddin rehmatullahi alayhi jo
HazratImaam Hussain radiallahu ta'ala anhu ki aulad me se hai
ЁЯФ╗ aur walida mohatrama Sayeda Bibi Ummalwara jo
Hazrat Imaam Hasan radiallahu ta'ala anhu ki aulad me se
hai.
ЁЯФ╗ Aap ke walidain nihayat saaliha aur parhezgaar they.
Khwaja Saheb ki paidaish se pehle hi karamaton ka zahoor
shuru ho gaya tha.
Ghar me barkaton niyamaton ke
darwaze khul gaye. Dushman dost ban gaye.izzat badhne
lagi. Jab se maa ke batan(pait) me Aap ke jism me rooh
padi us waqt se paidayish tak aadhi raat se subha hone
tak'La Ilaha Illalaah'ka zikr karte rahte.
ЁЯФ╗ Aap ki paidaish ki
raat Aap ka ghar noor se bhar gaya tha. Maa ki ghabrahat
dekh ghaibi awaz aayi pareshaan na ho yeh mera hi noor
tha jo mene tere lakht e jigar(bete) me bhar diya hai
ЁЯФ╗Khwaja Gharib Nawaz 14 saal ke they ki Aap ke walid ka
saaya sar se uth gaya. abhi Aap unka gham bhula na paaye
they ke walida bhi iss duniya se parda farma gayi.
ЁЯФ╗Khwaja Saheb is besabaat duniya se dil bardashta ho gaye aur
haqiqi manzil ki justaju ne karwat li. Aap ko us waqt aise
bande ki talash huyi jo bande ko Khudase milata hai..
ЁЯФ╗ek din
Hazrat SheikhIbrahim Khandozi waha tashrif laye jo Khuda
ke deewane majzoob buzurg they.
ЁЯФ╗KhwajaSaheb apna
saara kaam chhod kar unki khidmat me haazir huwe aur
unke daste mubarak ko bosa dekar unko chhaaon me
bithaya aur apne baagh ke angoor pesh kiye aur khud
dozanoo(jaise namaz me baith te hai) hokar baith
gaye.
ЁЯФ╗Hazrat sheikh Khandozi rahmatullahi alayhi ko Khwaja
Saheb ka ye andaze aadab pasand aaya. wo samajh gaye
ke ye ladka maarifate ilahika mutlaashi hai.. unho ne ek
khalli ka tukda apne daanton se chaba kar Khwaja Saheb ke
moonh me daala. wo khali ka tukda sharabe maarifat ka
jaam tha jise pite hi Khwaja Saheb ki aankhon menoor hi
noor chha gaya. khudi ke tamaam parde hat gaye aur dil
mey Khuda ki mohabbat josh marne lagi.
ЁЯФ╗ jiska nateeja yeh
huwa ke Aap ne apni tamam jaydad bech kar garibon me
baantdi aur khud maarifat-e-ilah i ki talash me nikal
pade.jis ke liye ilm zaaheri ka haasil karna zaruri tha aur
uske baad amal ki dushvar guzar manzilon kotaye karke
ulume baatini haasil hota hai. jab kahin jaa kar jalwaye
mehboob nazar aata hai.. Samarkhand aur bukhara un dino
azimusshaan darul ulum ka markaz tha.duniya kekone kone
setulba(student ) aate they. aur ulumo fanoon ke gauhar
naayab paate they.
ЁЯФ╗ Khwaja Saheb ne bhi apne liye isi
markaz(center) ka intikhaab kiya. yaha unhon ne ulume
zaahiri ki taalim paayi. phir Aap murshad kaamil ki talaash
me Baghdad gaye.waha khasbaye haroon me Khwaja
Usmaan-e-Haroon i se bayeet ka sharf haasil huwa jo bahut
pahunche huve peer tareekhat they.
Khwaja Usmaan-e-
murshad ki har tarha se khidmat ki aur wo niyamaten paayi
jo bayan se baahar hain.Khwaja Usman-e-Harooni
rahmatullahi alayhi Moyinudeen rahmatullahi alayhi ko
bahut chahte they aur kehte they Moinuddin Mehboob-e-haq
hai aur mujhe uspar naaz hai.
Khwaja Saheb ne apni umar ke 70 saal riyaazat-o-muja
hidaat me guzare. Aap aksar roze rakhte aur Aap ki riyaazat
ka hi natija tha ke Aap ki roohani taqat itni badhi huyi thi ki
Aap ki nazar-e-kimiya jis par bhi pad jaati wo chashm-e-
zadan( palakh japakne tak) me zarre khaalis ban jata..
ЁЯФ╗Khwaja Saheb ne apne murshad se ijazat lekar makka
mukarrma rawana huwe. waha Aap ki kismat ka sitara
chamka aur mehboobe haqiqi maherban ho gaya.
ЁЯФ╗aye Moyinudeen me tujh se raazi hoon aur tu baksh diya
gaya.aur tu jo chahe talab farmale. Khwaja Saheb khushi-o-
mussar at se bekhud ho gaye. phirbhi Aap ne apne liye nahi
balki apne silsile me aane wale tamaam muridon ki
bakhsish ki duwa mangi aur ta qayamat silsilay-e-chis htiya
ko kayam rakhne ki duwa mangi.Aap ki yeh duwa usi waqt
maqbul huyi.chunanche ye silsila Khuda ke karam se ab tak
kayam hai. yeh duwa khwaja Saheb ki farakh dili ki misaal
hai.Aap ne itne barso ki kadi riyazat-o-ibada t ka phal apne
chahne walo ko baksh diya.jo ta qayamat talabgaro ko
milta rahega.
ЁЯФ╗Aap apne murshad kaamil ke hamrah madine munavara
gaye aur Huzur sallallaho alayhi wasallam ke roza-e-
mubarak par hazri di. Garib Nawaz jante the ke isi bargah-
e-azmat se gadaonko badshahi aur khaksaaron ko sardari milti hai.isdehaliz se nikalne wale kutub aur gaush ke
ЁЯФ╗ chunanche Khwaja Saheb
kaafi arse tak mutavater daroodo salam ka tohafa pesh
karte rahe. ek roz Aap mussalle par they ke Huzur ke roze
mubarak se aawaz aayi Moyinuddeen Sanjri ko bulao.
KhwajaSaheb aastanaye mubarak pahunch kar Huzur
sallallaho alayhi wasallam ke deedar se musharaf huwe aur
hukum huwa aye Moinuddeen tu hamare deen ka madadgar
hai aur khaas hamara hai hum ne tumhe vilayat-e-hind atta
ki. tum Ajmer jaao aur waha se kufr-o-zalalat door karo..
ЁЯФ╗Khwaja Saheb RASOOLALLAH sallallaho alayhi wasallam ka
tohfa lekar rawana huwe. raah-e-safar me jaha bhi jo
buzurg milte un se mulakat ka faiz haasil kiya aur apne
murshad ki khidmat me haazir ho kar un se ijaazat li aur
Ajmer aa pahuche.
Khwaja Garib Nawaz jab Ajmer pahunche us waqtwaha
Pirthvi Raaj ka raaz chalta tha.waha ke logo ne Khwaja
Saheb ki bahut mukhalifat ki. Aapko har tarha se sataya.
Aap ne Khuda ke karam sehar ek mukhalif ka dil badla aur
unki taqdir badli aur unhe apni narm dili ki wajha se mauf
farmaya.
ЁЯФ╗ Aap ki taalimo tabligh se mutasserho kar log
islam me dakhil hone lage. Prithvi Raaj ne ye haal dekh kar
apne gulamon, jogiyon aur jaadugaron ko bheja jinhon ne
apne saare hurbe Khwaja Saheb par aazmaye lekin baatil
haq ke aage kahan thaher sakta tha.sab Khwaja ki
karamato barkaton se zare huwe aur Khwaja ke haat par
tauba ki aur islam khubul kiya.unme Jadugar Jaipal Jogi ka
kissa mashur hai jo bahut pahuncha huwa jadugar tha aur
wo Khwaja ke halkhe me daakhil hokar wali ke darje ko
pahunche aur Aap ne unka naam Abdullah Biyabani rakha.
ЁЯФ╗aaj bhi Abdullah Biyabani ka naam bhule bhatkon ko raah
dikhata hai
baras hai. Aap ki khankha ek aisa chasma-e-faiz ban gayi
jis se har kaso nakas mustafeez ho saktatha.is khankha me
ek waseeh langar khana jaari kiya gaya jiske darwaze har
muslim aur gairmuslim par khule they. Hazrat Khwaja
Moinuddin Chishti rahmatullahi alayhi garibon ke liye
sarasar rahmat-o-shafak hat ka mujasama they. Aap apne
muridon se aur akhidat mandon se farmate ke darveshon
aur garibon se mohabbat rakho. jo inko dost rakhta hai
Khuda usko dost rakhta hai. kabhi koi Aap ko nazrana karta
to Aap garibon me takseem farma dete. Khwaja Saheb ko
apne muridon se bahut mohabbat thi.unhe apne baatini faiz
se musafeezkarte rahte they. Aap ko Rasool-e-Akram
sallallaho alayhi wasallam se itna bepanha ishq tha ke
jahan Huzur ka naam aaya Aap ki aankhe purnam ho jati
thi....
Comments
Post a Comment