Aa jaaye bulawa mujhe AQA Tere Dar se naat
Aa jaaye bulawa mujhe AQA Tere Dar se
Jis Dar ki ghulaami ko to jibreel bhi tarse
Paidal hi nikalte hain, masaafat ka nahin khauf
Thakte hi nahin ham to Madine ke safar se
Sunnat pe Teri chalne ka aa jaaye qareena
Ye abr-e-karam kaash mere dasht pe barse
Zarrah bhi lage gohar-o-almaas se badh kar
Dekhe to koii khaak-e-arab meri nazar se
Ek main hi nahin taalib-e-jalwa mere AQA!
Har ek musalmaan Tere deed ko tarse
Naamoos-e-Muhammad ke liye jaan bhi doon ga
Ho jaaun ga waaqif main shahaadat ke hunar se
Dunya ke faqat chand hi lamhaat the guzre
Ho aaye payambar mere sadiyaun ke safar se
Jo shaam-o-sahar Salle Alaa kehta rahe ga
Aaye ga bulawa usay AQA ke nagar se
Kuch khauf nahin mujh ko kadee dhoop ka Amjad
Saaya mujhe miltaa hai Risaalat ke shajar se
Comments
Post a Comment