Bazm e tasawwuraat saji thi abhi abhi
Bazm e tasawwuraat saji thi abhi abhi
Nazron mayn Mustafa ki gali thi abhi abhi
Seenay mayn ruk gya tha mayra dam iss liay
Taibah say dil ddoar hili thi abhi abhi
Itna karam huaa kay muqaddar badal ga-ay
Un kay karam ki baat chali thi abhi abhi
Maaloom kar rahay thay farishton say jibraiil
Kiss ki zubaan pay naat e nabi thi abhi abhi
Shabbir chashm e tar ki haqiiqat na poochhiay
Maah e arab say aankh mili thi abhi abhi
Comments
Post a Comment