Aey ishq-e-Nabi meray dil mein bhi sama jaana

 Aey ishq-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meray dil mein bhi sama jaana

Aey ishq-e-Nabi meray dil mein bhi sama jaana
Mujh ko bhi Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka deewanah bana jaana

Jo rang keh Jaami par Rumi peh charhaya thaa
Lag da ey huney eytay Sarkar ney awna ey

Uss rang ki kuch rangath mujh peh bhi charhaa jaana
Qudrat ki nighahein bhi jis chehrey ko takthi hein

Uss chehra-e-anwar ka deedar karaa jaana
Jis khwaab mein ho jaeey deedar Nabi haasil

Aey ishq kabhi mujh ko woh neend sulaa jaana
Deedar-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki hasrat to rahe baaqi

Juz iss key har ik hasrat iss dil dey mitaa janaa
Duniya sey Riyaaz ho jab Uqbaa ki taraf jaana

Daagh-e-gham-e-Ahmad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) sey seeneh ko sajaa jaana

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain