Agayaa wo noore waala naat

 Subho Meelade Nabi he kya suhana Noor he

Agayaa wo noore waala (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jiska saara Noor he

Aankh waalo aawo dekho maahe Tayba ki ziyaa
Aasmaan ke chand me to peeka peeka Noor he

Tu na hota, to na hota do jahaan ka intizaam
Tu zameen ka noor he, tu asmaan ka Noor he

Jisne jo kuch Noor payaa sub Tere Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se
Noor ki Sarkaar ka to subse pehla Noor he

Jistaraf ko utgayee aalam munawwar hogaye
Main Teri Aankho ke Sadqe in me kitna Noor he

Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke noor me he Zaate Baari Jalwa ghar
Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Noor yoon kehte! Khuda ka Noor he

Istaraf bi ek nighahe Noor ale Noorala
Me sarapaa ma siyat hoon Tu sarapaa Noor he

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain