Meri ulfat Madine se youn hi nahi Mere aaqa ka rouza Madine mein hai naat

 Meri ulfat Madine se youn hi nahi

Mere aaqa ka rouza Madine mein hai
Mein Madine ki jaanib na kaise khinchu
mera deen aur dunya madine mein hai

arsh e azam se jis ki barri shaan hai
roza e mustafa jis ki pehchaan hai
jis ka humpalla koi muhalla nahi
eik aisa muhalla Madine mein hai

phir mujhe maut ka koi khatra na ho
maut kya zindagi ki bhi parwa na ho
kaash sarkar eik baar mujh se kahein
ab tera marna jeena Madine mein hai

Sarware do jahaa se dua hai meri
Han bado chashmey tar ilteja hai meri
Un ki feh-rist mein mera bhi naam ho
Jinn ka roz ana jaana Madine mein hai

jab nazar sue taiba rawana hui
saath dil bhi gaya saath jaan bhi gai
main muneer ab rahoon ga yahan kis liye
mera saara asasa Madine mein hai

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain