Aye Hasnain ke nana
Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Zahra paak ke sadqe humko
Taiba me bulana
Aye Hasnain ke nana
Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Aap ke dar ka mai hu bhikari
Aap hai mere daata
Saare rishte naato se hai
Pyaara apna naata
Aap to hai aata hai jinko
sabki laaj nibhana
Aye Hasnain ke nana
Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Be saaya hai lekin woh
Jag par hai aapka saaya
Arshe moh`alla bana mohalla
Deed ko Rab ne bulaya
Hasr tak na hoga kisika
Aisa aana jana
Aye Hasnain ke nana
Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Sajh gayi hai meelad ki mehfil
Kya hai khoob nazara
Kaifo masti me dooba hai
Dekho aalam saara
Dhund rahi aap ki rehmat
Bakshish ka bahaana
Aye Hasnain ke nana
Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Nisbat ka faizan hai dekho
Khadim e Gaus e Jali hu
Karta hai mujh pe naaz zamana
Mai Ausaat e Ali hu
Aap ki aal ke dar ka sag hu
Aur saahil hu purana
Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Comments
Post a Comment