Hai kalaam e Ilahi me Shamsuz’zuha, Tere chehre Noore Faza ki qasam Qasam e Shab e taar me raaz yeh tha, ke Habeeb ki zulfe duta ki qasam Tere Khulq ko HAQ ne azeem kaha, Teri khilq ko HAQ ne jameel kiya Koee Tujh sa huwa hai na hoga Shaha, Tere Khaliqe husn o ada ki qasam Woh Khuda ne hai martaba tujh ko diya, na kisi ko mile na kisi ko mila Ke Kalaam e majeed ne khaee Shaha, Tere shehro kalamo baqa ki qasam Tera masnade naaz hai Arshe baree, Tera mehrame raaz hai rooh e ameen Tu hi Sarware har do jahaan hai shaha, Tera misl nahi hai Khuda ki qasam Yehi ‘arz hai khaliq e Ard o sama, Woh Rasool hai Tera, mai bandah Tera Mujhe unki jawaar me day woh jagah, ke hai Khuld ko jiski safa ki qasam Tu hi bandaun pa karta hai lutf o ‘Ata, Tujhi pe bharosa hai Tujhi se dua Mujhe Jalwah e Pak Rasool dikha, Tujhe apne hi izz o ‘Ala ki qasam Mere gar chay gunah hai had se siwa, magar Un se ummed hai Tujh se rija Tu Raheem hai Unka Karam hai, gawah woh Kareem hai Teri ‘Ata ki qasam Yehi kehti hai