SIRAT-A-GHOUS-E-AZAM(Radi ALLAHU TAALA ANHU) PART 4

=================================================
HASIL-E-ILM AUR APKE USTAD-E-KIRAM
========================================
#Bismillah_Hir_Raheman_Nir_Rahim !!!
Bagdade Mukddas Me Apko Sairab Ajilla-e-Ulma wa Fuzula ki Ba Faiz Sohbat Se ji Bhar kar Sairab hone ka Mauka Mila Aur Aap Haqiqt Aashna huwe ki ulme Deen ka Hasil Har Muslman par Farz hai, ilm hi se Amraje Nafsani ki Sehat hoti hai Aur ilm hi ki Raushni Se Taqwa wa parhejgaari ki Raah Milti hai,!
Lihaja Apne ilme Deen ki Talim ka pukhta Irada karke uske Hasil ka Agaaj farma Diya Aur Sabse pehle Qur'aan Majid Hifz farmaya ! Fir waqt ke jalilul Kadar ulma-e-kiram se puri Tahqiq wa Tadqiq ke Sath ilmo fan se Apna Daman Bhar Liya....!
Apke Chand Mash'hur ustad-e-kiram ke Naam Darj jail hai:-
Hajrat Shaikh Hammad
▪ Abul wafa Ali bin Akil
▪ Abul kattab Mahfuz bin Ahmad Alklujani
▪ Abul Hussain Muhammed Ibnulkazi Abi yola
▪Abu Galib
▪Muhammed ibnul Hasan Albaklani
▪Abu Saad Muhammed Bin Abdul kareem
▪Abul Ganaim bin Maimun
▪Abul Qasim Alkrakhi
▪Abu usman Al'Asafhani
▪Abul barkat Habtullah
▪Abul Ijja Alhashmi
▪Abul Mansur bin Abi Galib
▪Abu Barkat Al Akuli
▪Abu jakriya Attbreji
Aur
▪Hajrat Qazi Abi Saeed Mubarak bin Ali Al Mahjumi (Rahmatullah Alaihim).
NOTE:-
👉🏻Baaz Riwayat me Ali Almahjumi ki jagah Almakhjumi Aur Abu Saeed ki jagah Abu saad hai....
MADRSA-E-MUBARKYA KI TAULIYAT AUR DARSE TADRIS
Hazrat Qazi Abu Saeed Mubarak Mahjumi ka Bagdade Mukaddas me Ek Bahut Bada Madarsa bhi tha jisme waah waaj Irshad ke Alawa ilme Duniya ko Bhi Dars Diya karte the ! Qazi Sahab ko jab Apke Ruhani fazlo kamal Ilmi Istedado Salahiyat Aur fahmo farast ka Andaja-e-wafir ho Gaya to 521 Hijri me Apna Madrsa Aap hi ke Hawale kar diya....
Thodi hi Arse me Apke fazlo kamal Aur ilmi ki Shohrat Door Door tak Aam ho Gayi Tashgaane ilme Diniya Har Chahar Taraf se kasir Tadad me Aane Lage ! Hatta ke Madrse Mubarak Apni Tamamtar Dus'ato ke Bawajood Tang ho Gaya ! Halat ke peshe Nazar Aap ne Aas pas ke Makanat kharid kar Madarse me me Shamil kar Liye Aur 9 Madarse ke Tamir karai ! Iss Tamir se Madrsa Do chand se zayda ho Gaya Aur Ab Yah Ajimushan Madrsa Apke ilm ki Nisbat se Madrsa-E-Qadriya ke Naam Se Mash'hur ho Gaya jo Hunuj isi Naam se Maujud hai .
Sarkar-E-Gaus-E-Aazam (Radi ALLAHU Taala Anhu) ne 528 Hijri me Darsgaah ki Tameer jadid Se faragat payi Aur Mukhtalif Atrafo janib Se Log Aap se Sharfe Talmmuj Hasil karke Ilme Deen Se Malamal hone Lage ! Ab Aap iss Azim Darsgaah me ek Tarf bebadal Mudarris wa Mu'Allim waijo khatib, Murshido Rahnuma-E-kamil ki Haisiyat se Makhluke ilahi ko Mustfid farma Rahe the ! Aur Dusri janib waqt ke Maya Naaz Musnnif ki jagah Sambhal chuke.....
To Be Continue..

Comments
Post a Comment