زمین و آسمان کا مالک کون

            вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм                   
     *☞ Khaaliq Ka apne  Makhlooq Se Sawal. _*

↬• Allah Ta'ala Apne Bando se Sawal Karta Hai , Uska Sawal dekho : *(Surah Al-Mumenoon, Aayat 84,)*

*قُل لِّمَنِ الْأَرْضُ وَمَن فِيهَا إِن كُنتُمْ تَعْلَمُونَ,*

_ Zameen Kiski hai ?Aur Jo kuchh Zameen mai hai Wo kiska hai ? Kya tum Jaante ho ? ,

★• _ Tum Kya samajhte ho Ye sab kuchh Tumhara hai , Nahi Nahi Nahi , Wo ek Allah hi Ka hai ,

"_*(Surah Al-Mumenoon, Aayat 85-86)*

*سَيَقُولُونَ لِلَّهِ....قُلْ مَن رَّبُّ السَّمَاوَاتِ السَّبْعِ وَرَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ,*

"__ Bolo ! Kaun hai Saato Aasmano Ka Rab ? Kaun hai Arshe Azeem Ka Rab ? Koi Keh Sakta Hai k hum hai'n , .. Kahenge Allah hi Ka hai ,

★• _ *(Surah Al-Mumenoon, Aayat 88)*

*قُلْ مَن بِيَدِهِ مَلَكُوتُ كُلِّ شَيْءٍ وَهُوَ يُجِيرُ وَلَا يُجَارُ عَلَيْهِ ,*

"__ Kaun hai Jo Panaah deta Hai to koi us per haath nahi uthata ,Jis per Wo haath utha le koi usko bacha nahi Sakta ,

★ •_ Zameen v Asmaan  , Bahro bar , Hawa aur Fiza ,fir aage izzat aur  Zillat , Jisko Wo dega milegi , Jisko Wo Zaleel Karega ,Zaleel hoga , Jisko izaat dega , izzat milegi , Jise maarega ,use koi utha nahi Sakta , Jise bachayega , use koi maar nahi Sakta ,Jise dega , usse koi le nahi Sakta , Jisse lega usko koi de nahi sakta ,

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain