SIRAT-A-GHAUS-E-AZAM(Radi ALLAHU TAALA ANHU) PART 1

SIRAT-A-GHAUS-E-AZAM(Radi ALLAHU TAALA ANHU) PART 1
=================================================
Aap Nahilful Badan, Kad Miyana, Sina Farakh, Rishe Mubarak (Dadhi) Daraj Chehre ka Rang Ghere Huwe, Rang Gandum Gun, Dono Abru Mile huwe, Awaaz Buland, Chehra Tabind, jiwkaar Narm Guftar, kamgo, Ahle ilm me Mumtaz the....
KHUSUSIYAT :
Kamal me ek Tarah ki Tezi Aur Balandi thi jo Samea ke Dil me Khauf ke Sath Ajib Lajjat paida kar Deti thi !
Daurane Guftagu pura Majma Ham:Tan Gosh hokar Aapke wajd Aafri Kalam ko Sunte Rahte !
Door Aur Najdik Apki Awaaz Barabar Sunai Sunai Deti!
Laakho ke Majme me Har Shakhsa Apki Awaaz Ba'khubi Sun Leta, Apke Huqm ki Tamil Har Sakhsh
be'chuno Chara Karta Aur Dil par kisi kism ka jaber Mahsoos na Karta, Sakht se Sakht Dil wala bhi Apke jamale Ba kamal ki jiyarat kar leta to uska Dil Mom ki Misl Narm ho Jata,
Jab Aap jama Masjid me Tashrif late to Log Apne Hanth Dua ke Liye utha Dete Aur Apke Wasile se jo bhi Dua Mangate Rabbe kareem puri Farma Deta!
Seerate Gause Aazam

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain