Riyakari ka azab

Mehbub Bin Labid Radiallahu Anhu Kehte Hain Nabi-E-Rehmat Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, "Tumhare Bare Mein Jis Chiz Ka Sabse Ziyada Dar Hai Wo Shirk-E-Asghar Hai". Sahaba Ne Arz Kiya Ke Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Shirk Asghar Kya Hai?
To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
"Riya (Dikhawa) Qayamat Ke Din Jab Logon Ko Unke Amaal Ka Badla Diya Ja Raha Hoga To ALLAH Riyakaron Se Kahega,
Jao Un Logon Le Paas Jinko Dikhawe Ke Liye Tum Neik Amal Kia Karte The Aur Phir Dekho Tum Unse Kya Badla (Ajr) Paate Ho .
(Musnad Ahmed, Silsila Ahadees Alsihaha Jild 2 Safa 951)
ALLAH Hum Sabko Riyakari Jaise Shirk Se Mehfuz Rakhe Aur Sirf ALLAH Ki Raza Ke Liye Aamal-E-Saleha Karne Ki Neik Tawfeeq De Aur Humse Qabul Farmaye.
Aameen Ya Rabbul Aalameen.

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain