Eide meeladunnabi ko bidaat kahne Wale Hadees paak ke Munkir Hain

Eide meeladunnabi ko bidaat kahne Wale Hadees paak ke Munkir Hain*
.....................
Muslim Shareef Ki Hadees paak Hai Ke
Nabie Kareem Sallallau Alahiwasallam Peer (Monday)Ke Din Roza Rakhte Thy
Hazrate Abu Qatada Raziallahu Taala Anhu Ne Farmate Hai Ke Aap Sallallau Alahiwasallam se Sawal Kiya Gaya(peer ke roza Ke bare me) To Huzoor Sallallau Alahiwasallam Ne Irshaad Farmaya Is Liye Ke isi Din Main Paida Huwa,Isi din Mai Maboos Huwa.
*(Muslim Shareef Jild-1, Baab Kitabussyaam. )*
Is Hadeees Paak Me Aaqa Kareem Sallallau Alahiwasallam Ne Peer ke din Roza Rakhne ki Jo wajah Bayaan Farmaye wo Yahi Hai ke peer Ka din Aap ki Wiladat ka Din Hai
*Is Hadees Paak* Se pata chala ke Munafeqeen jo Etraaz Karte Hai Ke Meelad Nabi e Kareem Sallallau Alahiwasallam  Ne Nahi Manaya To Munafeqeen Apne Is Dawe Me Batil Qarar Pate Hai Aur Jhootr Bhi
Ab Is Hadees Paak Me Jab Mabi e kareem Sallallau Alahiwasallam  se Meelad Ki Asal Milti Hai To Meeladunnabi Ko Bidaat Kahne Wale Is Hadees Paak Ke Munkir Sabit Huye
Ab Agar Munafeqeen Bahana Banaye Ke Aap Log to Juloos Nikalte Ho Aur Nabie Kareem Sallallau Alahiwasallam  to Roza Rakhte Thy?
To In Munafeqeen Ko Jawab Dediya Jaye Ke Aap Ka Etraaz To Seedha Yahi Tha Ke Nabi Ne Meelad Manaya Hi Nahi Ab ye Sawal Badal Kaise Gaya?
Baat Manane Ki Aur Hum Ne Sabit Kardiya Aur Zahir Si Baat Hai Jab Iski Asal Hadees Me Maujood Hai To Ise Bidaat Ka Naam Dene Wala Munafik Hi Hosakta Hai Baki Rahi Baat Roza Aur Juloos Ki To Aap Roza Rakhkar Meelad Manana Shuru Karo Phir Hame Taleem Do Ki Istarah Meelad Manao
*Yaad Rahe*
Munafeqeen Shuru Se Hi Nabi e Kareem Sallallau Alahiwasallam  Ke dushman Rahe Hai Ye Log Duniya Bhar Ke Ayese Tareeqo Me mulavvis Hai jinka wajood Ahde Risalat Me Nahi Tha Lekin Choonke In Munafeqeen Ka Koi Bhi Fail Nabie Kareem Ki Mohabbat Me Nahi Hota Isliye Wo Ise Nidaat Nahi Jante *Aur* Aashiqaane Mustufa Sallallau Alahiwasallam  Ka Har Kaam Nabie Kareem Ki Mohabbat Aur Aap Ki Aqeedat Ka Saboot Deta Hai To ye In Munafeqeen Se Dekha Nahi Hajata Aur Aashiqane Mustufa  Sallallau Alahiwasallam ko fauran Bidaati Kahne Lagte Hain

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain