MULK-E-SHAM KA DUSRA SAFAR
⏩MULK-E-SHAM KA DUSRA SAFAR⏪
=============================
Huzoor-e-Aqdas (ﷺ) Busra ke Bazaar me Bahut jald Tijarat ka Maal farokht karke Makka Mukar'rma wapas Aa Gaye ! Wapasi me jab Aap ka kafila shahre
Makka me Dakhil hone laga !
To Hazrat-e-Biwi khadija (Radi Allahu Anha) ek Bala'khana par Baithi hui kafila ki Aamad ka Manjar Dekh Rahi thi !
Jab unki Najar Huzoor (ﷺ) par padi to unhe Aisa Najar Aaya ki Do farishte Aap ke sar par Dhup se saya kiye huwe hai !
Hajrate khadija (Radi Allahu Anha) ke Qalab par Iss Noorani Manjar ka ek khas Asar huwa Aur wah farte Aqeedat se Intihai wali'hana Muhbbat ke sath ye Haseen jalwa dekhti Rahi ! Fir Apne Gulam Maisra se unhone kai Deen ke Bad Iska zikar kiya to-
Maisra ne Bataya ki Mai to pure safar me yahi Manjar Dekhta Raha hu Aur Inke Alawa Maine Bahut see Ajib wa Garib Bato ka Mushahda kiya hai !
Fir Maisra ne Nastura Raheeb ki Guftagu Aur uski Aqeedat wa Muhbbat ka tazkira bhi kiya !
``
Ye sunkar Hajrat Biwi khadija (Radi Allahu Anha) ko Aap se Be'panah Kalbi Ta'alluq Aur Behad Aqeedat wa Muhbbat ho Gayi Aur yaha'n tak ki unka Dil jhuk Gaya ki unhe Aap se Nikah ki Ragbat ho Gayi,
-[Madarijun-Nubuwwah jild-2, safa-27,]

Comments
Post a Comment