Allah Ke Sab Nabi (علیہم السلام) Apni Qabro Me Zinda Hain.

Allah Ke Sab Nabi (علیہم السلام) Apni Qabro Me Zinda Hain.
حَدَّثَنَا عَمْرُو بْنُ سَوَّادٍ الْمِصْرِيُّ حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ وَهْبٍ عَنْ عَمْرِو بْنِ الْحَارِثِ عَنْ سَعِيدِ بْنِ أَبِي هِلَالٍ عَنْ زَيْدِ بْنِ أَيْمَنَ عَنْ عُبَادَةَ بْنِ نُسَيٍّ عَنْ أَبِي الدَّرْدَاءِ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّی اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَکْثِرُوا الصَّلَاةَ عَلَيَّ يَوْمَ الْجُمُعَةِ فَإِنَّهُ مَشْهُودٌ تَشْهَدُهُ الْمَلَائِکَةُ وَإِنَّ أَحَدًا لَنْ يُصَلِّيَ عَلَيَّ إِلَّا عُرِضَتْ عَلَيَّ صَلَاتُهُ حَتَّی يَفْرُغَ مِنْهَا قَالَ قُلْتُ وَبَعْدَ الْمَوْتِ قَالَ وَبَعْدَ الْمَوْتِ إِنَّ اللَّهَ حَرَّمَ عَلَی الْأَرْضِ أَنْ تَأْکُلَ أَجْسَادَ الْأَنْبِيَائِ فَنَبِيُّ اللَّهِ حَيٌّ يُرْزَقُ.
Meaning :
Hazrate Abu-Darda رضی اللہ عنہ Farmate hain,
Ki Rasoole Akram ﷺ ne farmaya,
Mujh par Jumah ke din khoob Durood padha karo,
Kiyu ki us din Farishte Hazir hote hain,
Aur jo shakhs bhi Mujh par Durood bheje us ka Durood Mujh par pesh kiya jata hai,
Yaha tak ki woh(Durood padhne Wala) Durood se farig ho jaye,
(Hazrate Abu-Darda kehte hain) Main ne Arz kiya Aap ke Intiqal ke bad bhi?
Aap ﷺ ne farmaya (Ha) Intiqal ke bad bhi,
Is liye ki Allah ne (عزوجل) ne zameen par Ambiyaa(Nabiyo, علیہم السلام) ke Jismo ko khana Haraam kardiya hai,
To Allah ke Nabi (Qabro me) Zinda hain aur unko Rozi di jati hai.
(Sunan Ibne maja,zkitabul-Janaiz)

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain