Qurbani Ke Janwar Ki Umar (Age) Kitni Hone Chahiye

 Ounth(Camel) panch(5 years) saal ka,

Gaaye(Cow) do(2 years) saal ki,
Bakra (is mein bakri, dunba,  dunbi  aur bher (nar-o-maddah)  donon shamil hain) ek(1 year) saal ka. Is say kam umar ho to Qurbani jaiz nahin, ziyadah ho to jaiz balkay afzal hay. Han dunba ya bhair ka che(6 months) mahinay ka bacha agar itna bada ho ke door say dekhne mein saal bhar(1 Year) ka ma’loom hota ho to is ki Qurbani jaiz he.
(Durr-e-Mukhtar, jild 9, safha 533)

Yad rakhye! Mutlaqan che(6 months) mah kay dunbay ki Qurbani jaiz nahin, is ka itna farba (ya’ni tagra) aur qad- aawar hona zaruri he ke door say dekhnay mein saal bhar(1 year) ka lage. Agar 6 mah (6 months) balkay saal (1 year) mein ek din bhi kam umar ka dunbe ya bhed ka bacha door say dekhne mein saal bhar ka nahin lagta to is ki Qurbani nahin hogi

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain