kiya eidain ke elawa bhi eid hai
hazrat abu hurairah radiallahu anhu se riwayat hai ki nabi akram(sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:- aaj ke din do eiden(eid aur juma) ikatthi ho gayi hain, jo shakhs sirf eid padhna chahe to use wah kaafi hai, lekin ham (eid aur juma) dono padhenge”
(abu dawood al juma 1070-1071, 1073)hazrat abdullah bin zubair radiallahu anhu ke daur me juma ke din eid hui, to unhone namaz eid padhai juma na padhaya, is waqeye ki khabar ibne abbas ra ko mili to unhone farmaya:-” unka yah amal sunnat ke mutabik hai”
( nisaai salatul eidain 1593, imam ibne khuzaima ne sahih kaha hai)
Comments
Post a Comment