Hazrat Usman E Gani رضي الله عنه Se Bugz Rakhne Wale Ka Anjaam
Jo Na Kare Izzat Aur Muhabbat Hazrat Usman Gani رضي ﷲ عنھ Se,
Woh Jayega Kaha Bachke Allah ﷻ Ki Narazgi Se.
Hadees Sharif:
Hazrat E Jabir رضي الله عنه Se Riwayat Hai Huzoor Nabi E Kareem ﷺ Ki Khidmat E Aqdas Mein Ek Shakhs Ka Janaza Laaya Gaya Ke Aap ﷺ Uski Namaz E Janaaza Padhaye, Huzoor Rasool E Kareem ﷺ Ne Uss Shakhs Ki Namaz E Janaaza Padhne Se Inkaar Farmaya, Sahaba E Kiram رضي الله عنهم Ne Arz Kiya, Yaa Rasoolallah!ﷺ Humne Aapko Isse Pehle Kisiki Namaz E Janaaza Tark Farmate Huwe Nahi Dekha, Huzoor Sayyed E Aalam ﷺ Irshad Farmate Hain Yeh Shakhs Hazrat Usman E Gani رضي الله عنه Se Bugz Rakhta Tha Allah Ta'ala Ne Iss Shakhs Ko Sakth Na-Pasand Farmaya.
[Tirmizi Shareef, Abwab Ul Munaqib, Hadees No. 3709]
Comments
Post a Comment