juma ki fazeelat
Jumu'ah (Arabic: صلاة الجمعة , ṣalāt al-jum`ah, "Friday prayer"; Persian: نماز جمعه, Namaz Jumah; Turkish: Cuma Namazı, Juma Namazi), is a congregational prayer (ṣalāt) that Muslims hold every Friday, just after noon instead of the Zuhr prayer. Muslims pray ordinarily five times each day according to the sun's sky path regardless of time zones.
Al Quran :
O ye who believe! When the call is proclaimed to prayer on Friday (the Day of Assembly, yawm al-Jumu'ah), hasten earnestly to the Remembrance of Allah, and leave off business (and traffic): That is best for you if ye but knew!And when the Prayer is finished, then may ye disperse through the land, and seek of the Bounty of Allah: and celebrate the Praises of Allah often (and without stint): that ye may prosper.
— Qur'an, sura 62 (Al-Jumua), āyāt 9-10
JUMA, BAHTAREEN DIN(DAY) :
” Bahtareen din, jis par suraj nikal(rise) kar chamke, juma ka din hai, isi din hz adam (as) paida hue, isi din jannat me daakhil kiye gaye, isi din jannat se(zameen par) utaare gaye aur qayamat bhi jumah ke din qayam hogi”( muslim, aljuma, baab youmul juma 854)
JUMA KI FARZIYAT :
Irshaad bari taala hai:” aiy iman walon! Jab jumah ke din namaz(jumma) ke liye azaan di jaaye to allah ke zikr(khutba aur namaz) ki taraf daudo aur (us waqt) kaarobaar chhod do, agar tum samjho to yah tumhare haq me bahut bahtar hai”
(surah juma)
Hazrat Abu Jaad Jamri R.A se riwayat hai ki aap (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:-” jo shakhs susti ki wajah se 3 jumah chhod den to allah taala uske dil par muhar laga deta hai”
(abu dawood abwabul juma 1052, tirmizi 499,)
aap(sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:-” log jumah chhodne se baaz aa jaayen warna allah taala unke dilon par muhar laga dega phir We ghaafil ho jaayenge”
(muslim al juma 865)
Hazrat Ibne Masud R.A se riwayat hai ki aap(sallallahu alaihi wasallam) ne un logon ke gharon ko jo( susti ki wajah se) jumah se peeche rah jaate hain, jala dene ka iraada kiya”
(muslim, al masjidon 652)
Malum huwa ki juma ka chhodna bahut bada gunah hai, is par kadi warning hai, isliye har musalman par juma padhna farz hai, isme bilkul bhi susti nahi karni chahiye, jab khateeb mimber par chade , aur azaan ho jaaye to saare kaarobaar haraam ho jaate hain
Comments
Post a Comment