JUMA KE MASAIL w fazail

 

JUMA KE MASAIL :

1- Aap(sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:-” jiska allah aur aakhirat par imaan hai us par juma farz hai, mareez, musaafir, na-baaligh ladka aur ghulaam juma ki farziyat se bahar hain (agar chaahen to padh len warna johar ki namaz ada karen)
(abu dawood abwabul juma 1067, imam nawawi ne sahih kaha hai)

2- aap(sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:-” jo shakhs juma ke din khoob acchi tarah nahaaye aur paidal(masjid me) jaaye, imam ke nazdeek Hokar dil lagakar khutba sune aur koi bekaar baat na kare to usko har qadam par ek saal ke roze aur uski raaton ke qayaam ka sawaab hoga”
(tirmizi, al juma 495, abu dawood taharat 345, ibne habban 559, haakim 1/281-282)

Hazrat Salman Farsi Radiallahu Anhu se riwayat hai ki, aap(sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:- jo shakhs juma ke din nahaaye aur jis qadar paaki haasil ho sake kare,( muchen katraaye, naakun kataaye, zere naaf baal kaate, aur bagalon ke baal door kare etc) phir tail(oil) ya apne ghar se khusbu lagaaye aur (juma ke liye) masjid ko jaaye,(wahan) do aadmiyon ke beech raasta na banaaye( balki jahan jagah mile baith jaaye) phir apne muqaddar ki namaz padhe, phir dauraan e khutba khaamosh rahe to uske pichle juma se lekar is jumah tak ke gunah maaf kar diye jaate hain”
(bukhari al juma 883,910)

aap(sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:-” jo shakhs ghusl karke juma ke liye aata hai aur khutba shuru hone tak jitna ho sake nawafil ada karta hai , phir khutbaa e juma shuru se aakhir tak sunta hai to uske pichle juma se lekar is jumah tak aur zyada 3 din ke gunah maaf kar diye jaate hain”
(muslim al juma 857)
[ads-post]

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain