Nek Khaslatain kitni Hain

 Hadees:

Ek Roz Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki Allah-Ta'aala Jab Kisi Bande Se Bhalayi Ka Irada Farmata Hain To (360) Khaslaton Me Se Ek Khaslat Usme Paida Farmata Hain! Jiski Wajahse Wo Banda Jannat May Dakhil Hojata Hain! Hazrat Abu Bakr Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ne Arz Kiya, Ya Rasoolallah! Un 360 Nek Khaslaton Mayse Koi Khaslat Mujh May Bhi Hain?

Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, Abu Bakr! Tumeh Mubarak Ho Ki Wo Saari Ki Saari Nek Khaslatain Tum May Maujudh Hain !

(Sawahik-A-Muharrika Pg-44)

Sabak: Hazrat Siddiq-A-Akbar Radi Allahu Anhu Ki Bahot Badi Shaan Hain! Wo Yakinan Jannati, Balki Jannatiyon Ke Sardar Hain! 360 Khaslaton Se Jab Ek Khaslat Bhi Jannat May Le Jati Hain To Jis Jaat Pak May 360 Puri Ki Puri Nek Khaslatain Ho Uske Jannati Hone May Shak Wa Shuba Karne Wala Kyon Na Badh-Bakht Hoga ?

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain