baith kar juma khuta dena kaisa hai
Hazrat jaabin bin samurra radiallahu anhu se riwayat hai ki aap(sallallahu alaihi wasallam) khade hokar khutba dete aur do khutbon ke beech baithte, jo shakhs yah kahe ki aap baithkar khutba dete they usne ghalat bayan kiya”
(muslim al juma 862)9- hazrat kaab bin ujra radiallahu anhu se riwayat hai ki Wah masjid me daakhil hue aur abdurrahman bin ummul hakam baithe hue khutba de rahe they, hz kaab ra ne kaha:-” is khabees ki taraf dekho, baithe huwe khutba deta hai, jabki allah taala farmata hai:- aur jab ye log koi sauda bikta hai ya ko tamasha dekhte hain to uski taraf bhaag uthte hain aur aapko(khutbe me) khaada ki chhod dete hai(al jumah 11)
(muslim al juma 864)
Comments
Post a Comment