JUMA ME PAHLE AANE WALON KO SAWAAB
hazrat abu hurairah radiallahu anhu kahte hai ki aap (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:- ” farishte juma ke din masjid ke darwaze par (sawaab likhne ke liye) thaharte hain aur sabse pahle aane waale ka naam likh lete hain phir uske baad aane waala ka(consecutively likhte jaate hain), jo shakhs namaz e juma ke liye awwal waqt me masjid me aata hai uska utna sawaab milta hai jina makka me qurbani ke liye oont bhejne waale ko sawaab milta hai, phir jo baad me aata hai usko utna sawaab milta hai jitna makka me qurbani ke liye gaaye(cow) bhejne waale ko milta hai, iske baad aane waalo ko dumba bhejne waale ke barabar, uske baad aane waale ko murgi aur uske baad aane waale ko anda(egg) sadqa karne waale ki tarah ajar milta hai, phir jab imam, khutba dene ke liye nikalta hai to farishte daftar(register) lapet lete hain aur khutba sunne lagte hain”
(bukhari, al jumah 929,3211, muslim 850)
Comments
Post a Comment