gaaon me jumah padhna kaisa hai

 hazrat abdullah bin abbas Radiallahu Anhu farmate hain:-” masjide nabwi ke baad jo sabse pahla juma padhaya gaya wah behreen ke gao(village) juwaasa me abdul qais ki masjid me tha”

(bukhari al juma 892,4371)

isse saabit huwa ki gaaon me bhi jumah padhna zaroori hai agar log gaaon me juma nahi padhenge to gunaagaar honge

hazrat asad ain zaraara Radiallahu Anhu ne ” naqi ul khazmaat” ke ilaaqe me banu bayaaza ki basti ” hazmun nabeet”( jo madeena se 1 meel ke faasle par thi) me juma ka qayam kiya”
(abu dawood al juma 1069, haakim 1/281, ibne khuzaima 1724)

“hazrat abdullah bin umar Radiallahu Anhu makka aur madeena ke beech basne waale logon ko juma padhte dekhte to koi aitraaz na karte”
(abdurrazzaq 3/170, hafiz ibne hajar ne sahih kaha hai)

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain