Traraweeh Kis Par Wajib Hai, Aur Iska Hukm Kiya Hai?

 Traraweeh Kis Par Wajib Hai, Aur Iska Hukm Kiya Hai?

     Mas'ala No: [1] Taraweeh Mard Wa Aurat Sabke Liye Bil'Ijma Sunnat e Mu'akkadah Hai, Iska Tark Jaiz Nahi. [Durre Mukhtar]

🔸 Taraweeh Ki Kul Rak'aten Kitni Hain?

     Mas'ala No: [2] Jamhor Ka Mazhab Ye Hai Ki Taraweeh Ki Kul 20 Rak'aten Hain. [Durre Mukhtar, Radde Muhtar]

🔸 Namaz e Taraweeh Ka Waqt Kiya Hai?

      Mas'ala No: [3] Namaz e Taraweeh Ka Waqt, Namaz e Isha Men 4 Rak'at Farz Padhne Ke Bad Se Tuloe Fajar Tak Hai, Witr Se Pahle Bhi Ho Sakti Hai, Aur Witr Ke Bad Bhi. [Durre Mukhtar, Radde Muhtar, Aalam Giri]

🔸 Namaz e Taraweeh Kaise Ada Ki Jaaye?

     Mas'ala No: [4] Taraweeh Ki [20] Rak'aten, 10 Salam Se Padhe Yani Har 2 Rak'at Par Salam Phere. [Durre Mukhtar]

🔸 Taraweeh Mein Kitni Bar Kalam e Pak Khatm Kare?

     Mas'ala No: [5] Taraweeh Men Ek Baar Qur'aan Majeed Khatm Karna Sunnat e Mu'akkada Hai, Aur 2 Martba Fazilat, Aur 3 Martaba Afzal.

Logon Ki Susti Ki Wajah Se Qur'aan Majeed Ke Khatm Ko Tark Na Kare. [Durre Mukhtar

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain