Kin Chizun Se Roza Nahi Tot'ta
Kin Chizun Se Roza Nahi Tot'ta?
Mas'ala No: [6] Bhol Kar Khaya Ya Piya, Ya Jima Kiya, Roza Fasid Na Howa, Chahe Wo Roza, Farz Ho Ya Nafl, Aur Roze Ki Niyat Se Pahle Ye Chiz Payi Gayin, Ya Baad Men. [Durre Mukhtar, Raddul Muhtar]
Mas'ala No: [7] Kisi Roza Dar Ko Khate, Ya Pite Dekhe To Yaad Dilana Wajib Hai, Yaad Na Dilaya To Gunah Gar Huwa, Magar Jab Ki Wo Roza Dar, Bahut Kamzoor ho Ki Yaad Dilayega To Wo Khana Chod Dega, Aur Kamzori Itni Badh Jayegi Ki Roza Rakhna Dushwaar Hoga, Aur Khalega To Roza Bhi Achi Tarah Pora Karlega, Aur Digar Ibadaten Bhi Bakhobi Ada Kar Lega To Us Sorat Men Yaad Na Dilana Behtar Hai.
Mas'ala No: [8] Makkhi, Ya dhuvan, Ya Ghubaar, Halaq Men Jane Se Roza Nahi Toota, Agarche Rozadar Hona Yaad Ho. Aur Agar khud Qasdan dhuwan Puhunchaya To Fasid Hogaya, Jab Ki Rozadar Hona Yaad Ho, Chahe Wo Kisi Chiz Ka Dhuwan Ho, Aur Kisi Tarah Pahunchaya Ho.
Mas'ala No: [9] Huq'qah Pine Se Bhi Roza Toot Jata Hai, Agar Roza yaad Ho, Aur Huqqah Pine Wala Agar Piyega To Kffaarah Bhi Lazim Aayega. [Durre Mukhtar, Raddul Muhtar]
Mas'ala No: [10] Aaurat Ka Boosa Liya Magar Inzaal Na Huwa To Roza Nahi Tota. Yunhi Aaurat Ki Taraf, Balki Uski Sharm Gaah Ki Taraf Nazar Ki, Magar Haath Na Lagaya Aur Inzaal Hogaya, Agarche Baar Baar Nazar Karne, Ya Jima Wagherah Ke Khayal Karne Se Inzaal Huwa, Agarche Deer Tak Khayaal Jamane Se Ayisa Huwa Ho, In Sab Soratun Men Soratun Men Roza Nahi Tota. [Jauharah, Durre Mukhtar]
[Makhoz Az Bahar e Shari'at, Jild 1, Hissah 5, Roza Ka Bayan]
Comments
Post a Comment