Jin Chizon Se Roza Toot Jata Hai

 Jin Chizon Se Roza Toot Jata Hai.


     Mas'ala No: [27] Khane, Pine, Jema Karne Se Roza Jata Rahta Hai, Jabki Rozadar Hona Yaad Ho. [Hidaya]


     Mas'ala No: [28] Huqqa, Sigret Pine Se Roza Jata Rahta Hai, Agarche Apne Kheyal Men Halaq Tak Dhuwan Na Pahunchata Ho.


     Mas'ala No: [28] Paan Ya Tambako Khane Se Bhi Roza Jata Rahega, Agarche Peek Thook Di Ho Ki Uske Bareek Ajza Zuroor Halaq Men Pahunchte Hai.


     Mas'ala No: [30] Shakar Waghirah Aisi Chizen Jo Munh Men Rakhne Se Ghul Jati Hain, Munh Men Rakhi Aur Thook Nigal Geya; Roza Jata Raha.


     Mas'ala No: [31] Danton Ke Darmiyaan Koi Chiz Chane Ke Barabar Ya Ziyadah Thi, Use Kha Geya,


     Mas'ala No: [32] Ya Chane Se Kam Hi Thi, Magar Munh Se Nikal Kar Phir Khali,

[Magar Fathul Qadeer Men Farmaya Ki Agar Itni Ho Ki Beghair Thook Ki Madad Ke, Halaq Se Niche Utar Sakti Hai To Us Se Bhi Roza Toot Jayega. Aur Agar Itni Khafeef Ho Ki Lo'aab Ke Sath Utar Sakti Hai, Warna Nahi To Roza Nahi Tootega.


     Mas'ala No: [33] Ya Danton Se Khoon Nikal Kar Halaq Se Niche Utra Aur Khoon, Thook Se Ziyadah, Ya Barabar Tha, Ya Kam Tha, Magar Uska Maza Halaq Men Mahsoos Huwa To In Sab Soraton Men Roza Jata Raha, Aur Agar Kam Tha Aur Maza Bhi Mahsoos Na Huwa, To Roza Nahi Geya. [Durre Mukhtar]


[Makhooz Az Bahare Shariyat, Jild: 1, Hissah: 5, Roza Todne Wali Chizon Ka Bayan

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain