Roza Kise Kahate Hain

 Roza Kise Kahate Hain?

      Mas'ala No: [1] Roza Shari'at Men, Musalman Ka Apne Aap Ko Ibadat Ki Niyyat Se subh e Sadiq Se Ghuroob e Aaftab Tak Qasdan [Jaan Boojh Kar] Khane, Peene, Aur Gima Se Baaz Rakhna, Isi Tarah Aurat Ka Haiz Wa Nifaas Se Khali Hona Bhi Shart Hai. [Alam Giri]


🔸 Roza Ki Niyyat Karna Kab Mustahab Hai?

     Mas'ala No: [2] Agarche Rozon Ki Niyyat Din Men Bhi Ho Sakti Hai, Magar Raat Men Niyyat Kar Lena Mustahab Hai. [Jauhara]


🔹 Keya Raat Men Niyyat Karne Ke Baad, Kuch Kha Pi Le To Dobara Niyyat Kare?

     Mas'ala No: [3] Raat Men Roza Ki Niyyat Ki, Phir Us Ke Baad Raat Hi Men Kuch Khaya Piya, To Niyyat Khatm Na Huwi, Pahli Niyyat Kafi Hai, Phir Se Niyyat Karna Zuroori Nahi. [Jauhara]


🔹 Keya Sirf Roza Todne Ki Niyyat Karne Se Roza Toot Jayega?

     Mas'ala No: [4] Jis Tarah Namaz Men Baat Karne Ki Niyyat Ki, Magar Baat Na Ki To Namaz Fasid Na Hogi; Younhi Roza Men Todne Ki Niyyat Se Roza Nahi Totega, Jab Tak Roza Todne Wali Chiz Na Kare. [Jauhara]


🔹 Keya Sahri Khana Bhi Niyyat Hai?

     Mas'ala No: [5] Sahri Khana Bhi Niyyat Hai, Khah Ramzan Ke Roze Ke Liye Ho, Ya Kisi Aur Roza Ke Liye, Magar Jab Sahri Khate Waqt Ye Iradah Hai Ki Subh Ko Roza Na Hoga To Ye Sahri Khana Niyyat Nahi. [Jauhara, Raddul Muhtar]


[Makhooz Az Bahare Shariyat, Jild 1, Hissah 5, Roza Ka Baya

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain