Kin Baaton Se Roza Nahi Tot'ta
Kin Baaton Se Roza Nahi Tot'ta?
Mas'ala No: [11] Rozadar Ne Gusl Kiya Aur Pani Ki Thandak Andar mahsos Huwi,
Mas'ala No: [12] Ya Kulli Ki Aur Paani Bilkul Phenk Diya, Sirf Kuch Tari Munh Men Baaqi Rah Gayi, Thok Ke Sath Use Nigal Geya,
Mas'ala No: [13] Ya Dawai Koti Aur Halaq Men Uska Maza Mahsoos Huwa,
Mas'ala No: [14] Ya Kaan Men Paani Chala Gaya,
Mas'ala No: [15] Ya Tinke Se Kaan Khujaya Aur Us Par Kaan Ka Mail Lag Geya, Phir Wahi Mail Laga Huwa Tinka Kaan Men Dala, Agarche Chand Baar Kiya Ho,
Mas'ala No: [16] Ya Daant Ya Munh Men Khafeef Chiz, Be Maloom Si Rah Gayi Ki Lu'aab Ke Saath Khud Hi Utar Gayi,
Mas'ala No: [17] Ya Daanton Se Khoon Nikal Kar Halaq Tak Pahuncha, Magar Halaq Se Niche Na Utra To In Sab Soraton Men Roza Na Gaya. [Durre Mukhtar, Fathul Qadeer]
Mas'ala No: [18] Baat Karne Men Thook Se Hont Tar Ho Gaye, Aur Use Pi Geya,
Mas'ala No: [19] Ya Munh Se Raal Tapki, Magar Taar Toota Na Tha Ki Use Chada Kar Pi Geya,
Mas'ala No: [20] Ya Naak Men Rinth Aa Gayi, Balki Naak Se Bahar Ho Gayi Magar Munqate Na Huwi Thi Ki Use Chada Kar Nigal Geya,
Mas'ala No: [21] Ya Khenkar Munh Men Aaya Aur Kha Geya Agarche Kitna Hi Ho, Roza Na Jayega, Magar In Baton Se Ehteyat Chahiye. [Aalamgiri, Durre Mukhtar, Raddul Muhtar]
[Makhoz Az Bahar e Shari'at, Jild 1 Hissah 5, Roze Kay Bayan
Comments
Post a Comment