Kin Chizon Se Roza Toot Jata Hai
Kin Chizon Se Roza Toot Jata Hai?
Mas'ala No: [34] Roza Men Daant Ukhadwaya, Aur Khoon Nikal Kar Halaq Se Niche Utra, Agarche Sote Men Ayisa Huwa To Us Roze Ki Qaza Wajib Hai. [Raddul Muhtar]
Mas'ala No: [35] Mubalaga Ke Saath Istenja Kiya, Yahan Tak Ki Huqnah [Kisi Dawa Ki Batti Ya Pichkari Piche Ke Maqaam Men Chadhana Taki Pakhana Aajaye] Rakhne Ki Jagah Tak Pani Pahunch Gaya, Roza Jata Raha Aur Itna Mubalagha Chahiye Bhi Nahi Ki Is Se Sakht Bimaari Ka Andesha Hai. [Durre Mukhtar]
Mas'ala No: [36] Dimagh Ya Shikam [Pet] Ki Jhilli Tak Zakham Hai, Us Men Dawa Dali, Agar Dimagh Ya Shikam [Pet] Tak Pahunch Gayi; Roza Jata Raha, khawah Wo Dawa Tar Ho, Ya Khushk Aur Agar Maloom Na Ho Ki Dimagh Ya Shikam [Pet] Tak Puhunchi Ya Nahi Aur Wo Dawa Tar Thi, Jab Bhi Roza Jata Raha, Aur Khushk Thi To Roza Nahi Gaya. [Aalam Giri]
Mas'ala No: [37] Huqnah [Kisi Dawa Ki Batti Ya Pichkari Piche Ke Maqaam Men Chadhana Taki Pakhana Aajaye] Liya, Ya Nathnon Se Dawa Chadhyi, Ya Kaan Men Tel Dala, Ya Tel Chala Gaya; Roza Jata Raha, Aur Pani Kaan Men Chala Gaya Ya Dala To Nahi. [Aalam Giri]
Mas'ala No: [38] Kulli Kar Raha Tha, Bila Qads Pani Halaq Se Utar Gaya, Ya Naak Men Pani Chadhaya Aur Dimaagj Ko Chadh Gaya; Roza Jata Raha, Magar Jabki Roza Hona Bhool Gaya Ho To Na Tootega, Agarche Qasdan Ho. Yunhi Kisi Ne Rozadar Ki Taraf Koi Chiz Phenki, Wo Uske Halaq Men Chali Gayi; Roza Jata Raha. [Aalam Giri]
[Makhoz Az Bahar e Shari'at, Jild: 1, Hissah: 5, Roza Todne Wali Chizon Ka Bayan
Comments
Post a Comment