Kin Baton Se Roza Nahi Tot'ta
Kin Baton Se Roza Nahi Tot'ta?
Mas'ala No: [22] Makkhi Halaq Men Chali Gayi, Roza Na Geya, Aur Qasdan (Jan Boojh Kar) Nigli To Roza Jata Raha. [Aalamgiri]
Mas'ala No: [23] Bhoole Se Jema (Aurat Ke Sath Hambistari) Kar Raha Tha, Yaad Aate Hi Alag Ho Geya, Ya Subh Sadiq Se Pahle Jema (Aurat Ke Sath Hambistari) Men Mashghool Tha, Subh Hote Hi Juda Ho Geya, Roza Na Geya. Agarche Dono Suraton Men Juda Hone Ke Baad Inzal (Mani Nikal Gayi Ho) Ho Geya Ho. Aur Agar Yaad Aane Ya Subh Hone Par Fauran Alag Na Huwa, Agarche Sirf Thahar Geya Aur Harkat Na Ki, Roza Jata Raha. [Durre Mukhtar]
Mas'ala No: [24] Bhool Kar Khana Kha Raha Tha, Yaad Aate Hi Fauran Luqmah Fhenk Diya, Ya Subh Sadiq Se Pahle Kha Raha Tha, Aur Subh Hote Hi Ugal Diya, Roza Na Geya, Aur Nigal Geya To Dono Suraton Men Jata Raha. [Aalamgiri]
Mas'ala No: [25] Ehtelam Huwa, Ya Ghibat Ki To Roza Na Geya. Agarche Ghibat Ki Wajah Se Roza Ki Nooraniyat Jati Rahti Hai. [Durre Mukhtar]
Mas'ala No: [26] Jinabat (Ghusl Farz Hone) Ki Halat Men Subh Ki, Balki Agarche Sarw Din Junub (Nakap) Raha; Roza Na Geya, Magar Itni Der Tak Qasdan Ghusl Na Karna Ki Namaz Qaza Ho Jaye; Gunah -W- Haram Hai. [Durre Mukhtar]
[Makhoz Az Bahar e Shari'at, Jild 1, Hissah 5, Roza Ka Bayan
Comments
Post a Comment