Sawal. *Ya Rasoolallahﷺ* Ya Waliyallah ka kahna jayiz hai ya nahi

*Sawal*

kya farmate hain muftiyan e deen o millat is masle me ki *Ya Rasoolallahﷺ* Ya Waliyallah ka kahna jayiz hai ya nahi aur madad chahena paigambaron aur waliyon se aur hazrat ali karramallahu wajhul kareem ko,, ya mushkil khusha ali ” museebat ke waqt kahna jayiz hai ya nahi?



*Jawab*

jayiz hai jabki unhe bandaye khuda aur uski bargah me wasila jane aur unhe beizne ilaahi *والمدبرات أمرا* se mane aur aeteqad kare ki be hukm e khuda zarra nahin hil sakta – aur allah taala ke diye begair koyi ek habba (ratti, dana) nahi de sakta – ek harf nahi sun sakta palak nahi hila sakta aur beshak sab musalmano ka yehi aeteqad hai is ke khilaf ka un par guman mahaz bad gumani wa haram hai aur aise sachche aeteqad ke sath nida karna bila subha jayiz hai – tirmizi sharif wagaira ki hadees me hai khud huzor sallallahu alaihi wasallam ne ek nabina ko ye dua talqeen farmayi ki namaz baad yon kahe : *یا محمد انی اتوجہ بک الی ربی حاجتی ھذہ لیقضی لی* ya rasoolallah mai huzor ke wasile se apne rab ki taraf apni hajat me munh karta hon taki meri hajat poori ho

aur baaz riwayat me hai : *لتقضی لی یا رسول اللہ* taki huzor meri ye hajat poori farmaden us na bina ne namaz ke baad ye dua ki fauran aankh khul gayi

tibrani wagaira ki hadees me hai usman e gani raziallahu taala anhu ki khilafat me ibne hanif raziallahu taala anhu ne ye dua ek sahabi ya tabeyi ko batayi unhon ne namaz ke baad yon hi nida ki ya rasoolallah mai huzor ke wasile se is hajat me allah taala ki taraf tawajjuh karta hon unki bhi hajat poori huyi phir olma hamesha ise qazaye hajaat ke liye likhte aaye nez hadees shareef me hai *اذا اراد عونا فلینادا عینوتی یا عباداللہ* jab isteanat karna aur madad lena chahe to yon pukare meri madad karo ai allah ke bando

fatawa khairya me hai

*قولهم یا شیخ عبدالقادر نداء فما الموجب لحرمتہ* ya shekh abdul qadir kahna nida hai faqeer (aalahazrat) is bare me ek mukhtasar rsala “ *انوارالانتباہ فی حل نداء یا*
 *رسول اللہ* ” wahan dekhiye ki zamanaye risalat se har zamane ke aimma wa sulha wa olma me musibat ke waqt mahbooban e khuda ko pukarna kaisa shaye zaye raha hai wahabiya ke taur par maazallah sahaba se aaj tak wo sab buzurgan e deen mushrik thaherte hain *ولا حول ولا قوۃ الا باللہ العلی العظیم – واللہ تعالٰی اعلم*

HAWALA – ahkaam e shariyat hissa.1 page no. 16,17



Gulam e Huzoor Tajushshariah
 *Muhammad Nafees Razavi*
_Khadim e Sunni Ajmeri Masjid_
Sion Koliwada Mumbai

_*Apne sawalat ke liye is site par visit kare*_
            *Visit this site*
                 Islaah.in
       

*Instagram official account*
🔹www.instagram.com/_www.islaah.in_

 *Join WhatsApp group*

https://chat.whatsapp.com/Ile1LxWRlMWDsohZAQ45Fe

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain