Bank Se Sood Lena Kaisa Hai?

*SHARAI MASAIL*
*.....................ЁЯЦЛ*

*ЁЯУЪSuwalЁЯСЙ*
Bank Mein Paisa Deposit Karne Se Jo Nafa' Milta
Hai Uska Lena Ja'iz Hai Ya Nahin? Ya'ni Bank Se
Sood Lena Kaisa Hai?

*ЁЯЧЭJawabЁЯСЙ*
ЁЯЦЛAgar Woh Bank Sirf Kuffaar Ka Hai To Usse Naf a' Lena Ja'iz Hai Agarche Woh Sood Hi Kehkar Dein,
Magar Use Sood Samajhkar Lena Ja'iz Nahin Ke
Sood Mutlaqan Haraam Hai Balki Maal E Mubah
Samajhkar Lena Ja'iz Hai,
Faqeeh E Azam E Hind Huzur Sadrush Shariyah
(Alaihir Rehmah) Tehreer Farmaate Hain, "Agar Woh Bank Sirf Kuffaar Ka Hai aur Usmein Rupya
Jama' Kiya Hai aur Woh Bank Wale Kuchh Zaa'id
Raqam Dete Hain to Musalmano Ko Is Niyyat Se
Lena Ja'iz Hai Ke Kaafir Apna Maal Khushi Se Deta
Hai, Sood Ki Niyat Se Lena Ja'iz Nahin..."
*ЁЯУЪFatawa Amjadiya, Vol:3, Pg.225*
*ЁЯУЪFatawa Faqeeh e Millat, Vol:2, Pg.212*
┘И╪з┘Д┘Д█Б ╪к╪╣╪з┘Д█Мٰ ╪з╪╣┘Д┘Е ╪и╪з╪з┘Д╪╡┘И╪з╪и
_Irshad Quadri Amjadi_

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain