Posts

dua qabool hone ka behtareen din

  Aap(sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:- jumah ke din ek aisi ghadi(waqt) hai ki jo musalman us ghadi me allah taala se bhalaayi ka sawaal kare to allah taala usko qubool karta hai” (bukhari al juma 935, muslim 852)

JUMA ME PAHLE AANE WALON KO SAWAAB

  hazrat abu hurairah radiallahu anhu kahte hai ki aap (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:- ” farishte juma ke din masjid ke darwaze par (sawaab likhne ke liye) thaharte hain aur sabse pahle aane waale ka naam likh lete hain phir uske baad aane waala ka(consecutively likhte jaate hain), jo shakhs namaz e juma ke liye awwal waqt me masjid me aata hai uska utna sawaab milta hai jina makka me qurbani ke liye oont bhejne waale ko sawaab milta hai, phir jo baad me aata hai usko utna sawaab milta hai jitna makka me qurbani ke liye gaaye(cow) bhejne waale ko milta hai, iske baad aane waalo ko dumba bhejne waale ke barabar, uske baad aane waale ko murgi aur uske baad aane waale ko anda(egg) sadqa karne waale ki tarah ajar milta hai, phir jab imam, khutba dene ke liye nikalta hai to farishte daftar(register) lapet lete hain aur khutba sunne lagte hain” (bukhari, al jumah 929,3211, muslim 850)

baith kar juma khuta dena kaisa hai

  Hazrat jaabin bin samurra radiallahu anhu se riwayat hai ki aap(sallallahu alaihi wasallam) khade hokar khutba dete aur do khutbon ke beech baithte, jo shakhs yah kahe ki aap baithkar khutba dete they usne ghalat bayan kiya” (muslim al juma 862) 9- hazrat kaab bin ujra radiallahu anhu se riwayat hai ki Wah masjid me daakhil hue aur abdurrahman bin ummul hakam baithe hue khutba de rahe they, hz kaab ra ne kaha:-” is khabees ki taraf dekho, baithe huwe khutba deta hai, jabki allah taala farmata hai:- aur jab ye log koi sauda bikta hai ya ko tamasha dekhte hain to uski taraf bhaag uthte hain aur aapko(khutbe me) khaada ki chhod dete hai(al jumah 11) (muslim al juma 864)

kiya eidain ke elawa bhi eid hai

  hazrat abu hurairah radiallahu anhu se riwayat hai ki nabi akram(sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:- aaj ke din do eiden(eid aur juma) ikatthi ho gayi hain, jo shakhs sirf eid padhna chahe to use wah kaafi hai, lekin ham (eid aur juma) dono padhenge” (abu dawood al juma 1070-1071, 1073) hazrat abdullah bin zubair radiallahu anhu ke daur me juma ke din eid hui, to unhone namaz eid padhai juma na padhaya, is waqeye ki khabar ibne abbas ra ko mili to unhone farmaya:-” unka yah amal sunnat ke mutabik hai” ( nisaai salatul eidain 1593, imam ibne khuzaima ne sahih kaha hai)

kisi uzre shari ki wajah se juma chod kar zohar padhna kaisa hai

  - hunain ke din baarish ho Rahi thi to aap(sallallahu alaihi wasallam) ne apne munaadi huqm diya:- aaj apni, apni qayaamgaahon me namaz padhne ka elaan kar do, aur wah juma ka din tha” (abu dawood al juma 1057,1059, haakim 1/293, ibne khuzaima 1863, ibne habban 439-440) malum huwa ki baarish ke din juma ki namaz padhni wajib nahi, yani agar baarish ke din juma padh liya jaaye to jaayez hai aur baarish ki wajah se agar juma chhod kar johar padh li jaaye to juma chhodne ka gunaah nahi hoga

gaaon me jumah padhna kaisa hai

  hazrat abdullah bin abbas Radiallahu Anhu farmate hain:-” masjide nabwi ke baad jo sabse pahla juma padhaya gaya wah behreen ke gao(village) juwaasa me abdul qais ki masjid me tha” (bukhari al juma 892,4371) isse saabit huwa ki gaaon me bhi jumah padhna zaroori hai agar log gaaon me juma nahi padhenge to gunaagaar honge hazrat asad ain zaraara Radiallahu Anhu ne ” naqi ul khazmaat” ke ilaaqe me banu bayaaza ki basti ” hazmun nabeet”( jo madeena se 1 meel ke faasle par thi) me juma ka qayam kiya” (abu dawood al juma 1069, haakim 1/281, ibne khuzaima 1724) “hazrat abdullah bin umar Radiallahu Anhu makka aur madeena ke beech basne waale logon ko juma padhte dekhte to koi aitraaz na karte” (abdurrazzaq 3/170, hafiz ibne hajar ne sahih kaha hai)

JUMA KE MASAIL w fazail

  JUMA KE MASAIL : 1- Aap(sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:-” jiska allah aur aakhirat par imaan hai us par juma farz hai, mareez, musaafir, na-baaligh ladka aur ghulaam juma ki farziyat se bahar hain (agar chaahen to padh len warna johar ki namaz ada karen) (abu dawood abwabul juma 1067, imam nawawi ne sahih kaha hai) 2- aap(sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:-” jo shakhs juma ke din khoob acchi tarah nahaaye aur paidal(masjid me) jaaye, imam ke nazdeek Hokar dil lagakar khutba sune aur koi bekaar baat na kare to usko har qadam par ek saal ke roze aur uski raaton ke qayaam ka sawaab hoga” (tirmizi, al juma 495, abu dawood taharat 345, ibne habban 559, haakim 1/281-282) Hazrat Salman Farsi Radiallahu Anhu se riwayat hai ki, aap(sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:- jo shakhs juma ke din nahaaye aur jis qadar paaki haasil ho sake kare,( muchen katraaye, naakun kataaye, zere naaf baal kaate, aur bagalon ke baal door kare etc) phir tail(oil) ya apne ghar se khus...

juma ki fazeelat

  Jumu'ah   (Arabic: صلاة الجمعة ‎‎, ṣalāt al-jum`ah, "Friday prayer"; Persian: نماز جمعه‎‎, Namaz Jumah; Turkish: Cuma Namazı, Juma Namazi), is a congregational prayer (ṣalāt) that Muslims hold every Friday, just after noon instead of the Zuhr prayer. Muslims pray ordinarily five times each day according to the sun's sky path regardless of time zones. Al Quran : O ye who believe! When the call is proclaimed to prayer on Friday (the Day of Assembly, yawm al-Jumu'ah), hasten earnestly to the Remembrance of Allah, and leave off business (and traffic): That is best for you if ye but knew! And when the Prayer is finished, then may ye disperse through the land, and seek of the Bounty of Allah: and celebrate the Praises of Allah often (and without stint): that ye may prosper. — Qur'an, sura 62 (Al-Jumua), āyāt 9-10 JUMA, BAHTAREEN DIN(DAY) : ” Bahtareen din, jis par suraj nikal(rise) kar chamke, juma ka din hai, isi din hz adam (as) paida hue, isi din jannat me daak...

khutba bila zaroorat khade hokar sunna kaisa hai

  ख़ुत्बा सुनने की हालत में हरकत (हिलना-डुलना) मना है। और बिला ज़रूरत खड़े हो कर ख़ुत्बा सुनना खिलाफे सुन्नत है। अवाम में ये मामूल है कि जब खतीब ख़ुत्बा के आखिर में इन लफ़्ज़ों पर पहुचता है "व-ल-ज़ीक़रुल्लाहे तआला आला" तो उसको सुनते ही लोग नमाज़ के लिये खड़े हो जाते है। ये हराम है, कि अभी ख़ुत्बा नही हुआ, चंद अलफ़ाज़ बाक़ी है और ख़ुत्बा की हालत में कोई भी अमल करना हराम है। [फतावा रज़विय्या] [मोमिन की नमाज़ - 220]

khuba ke waqt wazeefa ya nafl namaz padhna kaisa hai

  जब इमाम ख़ुत्बा पढ़ रहा हो, उस वक़्त वज़ीफ़ा पढ़ना मुतलक़न ना जाइज़ है और नफ्ल नमाज़ पढ़ना भी गुनाह है।

khutba me huzoor ka nam sunkar drood padhna kaisa hai

  ख़ुत्बा में हुज़ूर صلى الله عليه وسلم का नाम सुन कर दिल में दुरुद शरीफ पढ़े, ज़बान से खामोश रहना फ़र्ज़ है। [दुर्रे मुख्तार, फतावा रज़विय्या]

khutba ke waqt huzoor ka nam sunkar angootha choomna kaisa hai

  जुमुआ की अज़ाने सानी (ख़ुत्बे से पहले की अज़ान) में हुज़ूर صلى الله عليه وسلم का नाम सुनकर अंगूठा न चूमें और सिर्फ दिल में दुरुद शरीफ पढ़े। [फतावा रज़विय्या] ख़ुत्बा में हुज़ूर صلى الله عليه وسلم का नाम सुन कर दिल में दुरुद शरीफ पढ़े, ज़बान से खामोश रहना फ़र्ज़ है। [दुर्रे मुख्तार, फतावा रज़विय्या]

khutba ke waqt jo azan hoti hai uska jawab kaise denna chahiye

  जुमुआ के दिन ख़ुत्बा के वक़्त खतीब के सामने जो अज़ान होती है, उस अज़ान का जवाब या दुआ सिर्फ दिल में करें। ज़बान से अस्लन तलफ़्फ़ुज़ (उच्चार) न हो।

nel gay ki qurbani jaiz hai ya nahin

  Mas'ala: Wahshi Janwar Jaise Nel Gaye Ya Hiran inki  Qurbani Jayez Nahi. {Alamgiri, Volume-5, Page-297}

hiran ki qurbani jaiz hai ya nahi

  Mas'ala: Wahshi Janwar Jaise Nel Gaye Ya Hiran inki  Qurbani Jayez Nahi. {Alamgiri, Volume-5, Page-297}

agar poore ghar walon ki taraf se 1 hi bakra kiya jaye to kiya hukm hai

  Mas'ala: Ba’az log pure ghar ki taraf say sirf ek bakra Qurban karte hain halan-kay ba’az oqaat ghar ke ka’sare afraad sahib-e-nisab hote hain aur is bina per in saron per Qurbani wajib hoti he, in sab ki taraf say alag alag Qurbani ki jaye. ek bakra jo sab ki taraf say kiya gaya kisi ka bhi wajib ada na huwa ke bakre mein aik say ziyadah hisse nahin ho sakte kisi ek tay-shuda fard hi ki taraf say bakra Qurban ho sakta hay

agar minnat ki qurbani ho to gosht ka kiya hukm hai

  Mas'ala: Agar Qurbani Minnat Ki Hai (Eidul Adha ki nahi)  To Uske Gosht Me Se Kuch Na Khaye Balki Pura  Sadqa Kare Agar Kuch Khaya To Utni Raqam  Sadqa Kar De. {Fatawa Alamgiri, Volume-5, Page-295}

qurbani ka waqt

  Mas'ala: Qurbani Ka WAQT 10wi zilhijjah Ke Tuluye Subhe  Sadiq Se 12wi Ke Guroobe Aaftab Tak Hai, Yani 3- Din Aur 2-Raten, Aur in Dino Ko Ayyam e Nahar  Kehte Hain {Bahar-E-Shari'at, Hissa-15, page-336}

qurbani ke dinon me qurbani ke bajaye sadqa karna kaisa hai

  Mas'ala: Qurbani Ke WAQT Me Qurbani Hi Karna Lazim Hai,  Koi Dusri Chiz Uske Qaim-Muqam Nahi Ho  sakti, Masalan Bajaye Qurbani Ke Bakra  ya uski Qeemat  Sadqa Kar Dee To Ye Na'kaafi Hai. { ﺍﻟﻔﺘﺎﻭﻯ ﺍﻟﻬﻨﺪﻳﺔ، ﺟﻠﺪ5- ، ﺻﻔﺤﮧ 293- }(‘Alamgeeri, jild 5, safha 293, Bahar-e-Shari’at, jild 3, safha 335)

qurbani ka janwar gum ho jaye to kiya karen

  Eik Shakhs Ne Qurbani Ke Liye Bakri Kharidi Thi  Wo Gum Ho Gai Aur uska Maal Nisab Se Kam Hua  To uspe Dusra Janwar Kharid Kar Qurbani Karna  Wajib Nahi, Agar Wo Qurbani Ke Ayyam Me Hi Mil  Gayi Lekin Ab Ye Shakhs Gani (Malike nisab) Nahi  Raha To Ispe Bhi Qurbani Wajib Nahi. {Alamgiri, Volume-5, Page-292}