Witr Ki Namaz Qaza Ho Gayi To Qaza Namaz Padhna Kaisa Hai
Mas’Ala : Witr Ki Namaz Qaza Hogayi Ho To Qaza Padhana Wajib Hai.
Agarche Kitna Hi Zamana Ho Gaya Ho Qasdan (Jaan Buzh Kar) Qaza Ki Ho Ya Bhule Se Qaza Ho Gayi Ho Aur Jab Qaza Padhe To Usme Dua E Qunoot Bhi Padhe.Albatta Qaza Me Takbeere Qunoot Ke Liye Haath Na Uthaye, Jabki Logo Ke Saamne Padhta Ho.
Kyuki Logo Ko Witr Ka Chutna Maalum Hoga.
(Durre Mukhtaar, Aalamgeeri)
Ramzan Sharif Ke Alaawa Aur Dino Me Witr Jamat Se Na Padhe Aur Tadai Ke Taur Par Ho To Makrooh Hai.
(Durre Mukhtaar)
Mas’Ala: Jise Aakhiri Shab Me Jaagne Par Ehtimaad Ho, To Behtar Yah Hai Ki Peechli Raat Me Witr Padhe, Warna Baad E Isha Padhle.
(Hadees)
Mas’Ala: Awwal Shab Me Witr Padh Kar So Raha Hai, Phir Peechle Ko Jaaga. To Dobara Witr Padhna Jaayez Nahi Aur Nawafil Jitne Chahe Padhe.
(Guniya)
Comments
Post a Comment