••MOHAR'RAM ••••••••••••••••● ●•••••••••POST•NO•• [ 3 ]•••••••••••● ⚔Matam Karne Se Mana Farmaya

••••••••••••MOHAR'RAM ••••••••••••••••●
●•••••••••POST•NO•• [ 3 ]•••••••••••●
Matam Karne Se Mana Farmaya
🔵Mayyat Ka Shog (Gham):* Matam Karne Se Mana Farmaya « » Hazrat Zainab Bint Hajash (Raziallah Anhu) Ke Bhai Ka
Inteqal Ho Gaya. Teen Din Ke Baad Unhone Khushbu
Mangwaee Aur Usko Lagaya. Phir Kaha Mujhe Khushbu Ki Zaroorat Nahi Thi Magar Maine “Rasool’Allah ﷺ (Sallallaho Alaihi Wasallam) Se Suna Ke Jo Aurat Aur Mard Allah ﷻ Ta’ala Aur Qayamat Par Emaan Rakhta Ho Uske Liye Halaal Nahi Ke Teen Din Se Ziyadah Kisi Mayyat Par Shog Kare’ Siwaye Shohar Ke Jiska Sog 4 Mah (Month) 10 Din Hai.”
[ Bukhari ‘ Al’janaez Baab Al’shiyaab Al’baid Ul Kafan Hadees : 1264 ‘ 1271′ 1272′ 1273′ 1287 ]*_
🔘Agar Mayyat Ko Dekh Kar Rona Aaye Aur Aansu Jaari Hon Toh Mana Nahi, Isliye Ke Yeh Be. Ikhtiyar Rona Hai Jo Jayez Hai....
🔵Hadees : Nabi-e-Kareem ﷺ (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,* “Allah ﷻ Ta’ala Aankh Ke Rone Rone Aur Dil Ke Pareshan Hone Ki
Wajah Se Azaab Nahi Hota Balki Zuban Ke Chillane Aur Wa’waila Karne Se Azaab Hota Hai”...
[ Bukhari’ Al’janez’ Baab Al’baka’a Indal Mareeda’ Hadees :1304′ Wa Muslim’ Al’janaez’ Baab Al’baka’a Alal May’yati’ Hadees :924 ]

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain