40 Din Gosht Na Khane Se Deen Me Khami Aa Jati Hai, Ye Baat Sahi Hai Ya Ghalat Zara Bataye

*SHARAI MASAIL*
*.....................ЁЯЦЛ*
*ЁЯФПSuwalЁЯСЙ*
Hazrat Humne Suna Hai Ki 40 Din Gosht Na Khane Se Deen Me Khami Aa Jati Hai, Ye Baat Sahi Hai Ya Ghalat Zara Bataye.
*ЁЯЧЭJawabЁЯСЙ*
ЁЯЦЛBaat Ghalat Hai, Aisa Kuch Nahi, Koi Umar Bhar Gosht Na Khayega To Bhi Iman Par Koi Fark Nahi, Ye Wo Log Baate Banate Hai, Jinhe Bas Khana Chahiye, Aur Namaz Ek Waqt Nahi Padhte, Namaz Qaza Karne Se Iman Par Farq Aayega, Ye Haqiqat Hai,
ЁЯСЙAur Ye Bhi Yaad Rakho, Ki Gosht Ki Tareef Huzoor Ne Farmai Hai, Aur Ise Tamam Khane Ka Sardar Bataya, Isme Koi Inkar Nahi, Magar Gosht Ki Tareef Kar Dene Se Ye Matlab Nahi Ki Khana Farz Hai.
Aur Koi Aisa Bhi Na Kare Ki Lagatar Roz Hi Gosht Khaye Aur Koi Aisa Bhi Na Kare Ki Bilkul Hi Tark Kar Den, Yani Kabhi Khaye Bhi Magar Pabandi Na Kare,
*ЁЯУЪIhyaul Uloom Jild:3 Safah:292 Par Hai;*
Hazrat Ali Ne Farmaya:
✒“Jo Shakhs 40 Din Tak Gosht Khana Chhor De, Uski Tabiyat Aur Mizaaj Me Kharabi Wa Bigar Paida Ho Jata Hai,
Aur Jo 40 Din Lagatar Gosht Khata Rahe, Uska Dil Sakht Ho Jata Hai”
*Age Imam Ghazali Likhte Hain:*
✒“Insan Ke Fizul Kharch Hone Ke Liye Itna Hi Kafi Hai, Ki Jis Cheez Ki Use Khwaish Ho, Use Kha Le Aur Har Wo Kaam Kar Le, Jise Karne Ki Use Haajat Ho, Munasib Ye Hai Ke Gosht Khane Par Hameshgi Na Ikhtiyaar Kare”
*Age Isi Safah Par Hai:*
“Manqool Hai: “Hamesha Gosht Khana Sharab Ki Chuski Ki Tarah Ek Chuski Hai (Yani Latt Hai)
ЁЯСЙDil Ka Sakht Ho Jaane Ka Nuqsan Ye Hai Ki “Uske Dil Par Nasihat Asar Nahi Karti, Gunah Bhi Halka Lagta Hai,”
┘И┘Зُ┘И ╪к╪╣╪з┘Д█Мٰ ╪г╪╣┘Д┘Еُ ╪и╪з┘Д┘А╪╡┘А┘И╪з╪и

Comments

Popular posts from this blog

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bare me

allah ta aala naraz ho to kiya hota hai

Nabi aur rasool kise kahte hain