FAZAHIL E AASHURAH* *Aashurah yaani daswi muharram ka roza pichhle ek saal ke gunahon ka kaffarah hai aur tamam ambiya ye roza rakha karte the balki tamam wahshi aur zahreele jaanwar bhi ye roza rakhte hain* 📕 Bahare shariyat,hissa 5,safah 136 *Ramzan ke baad sabse afzal roza muharram yaani aashrah ka aur farz namazon ke baad sabse afzal namaz tahajjud ki hai* 📕 Muslim,jild 1,safah 823 *Siyah sittah ki hadise paak hai ki jab huzoor sallallaho taala alaihi wasallam madina sharif tashrif laayen to aapne aashurah ke din yahudiyon ko roza rakhte hue dekha to unse poochha ki tum log ye roza kyun rakhte ho to unhone kaha ki is din ALLAH ne moosa alaihissalam ko nijaat di aur firaun ko lashkar sameit dariya me dubo diya to bataur shukrane me hazrat moosa alaihissalam ne is din roza rakha to hum bhi unke maanne waale hain to hum bhi roza rakhte hain,to huzoor sallallaho taala alaihi wasallam farmate hain ki moosa alaihissalam ki muafiqat karne me hum tumse kahin zyada haqdaar aur